ghazal
{74}

 
 

*{74,1}

;Gamze ne us ke chorii me;N dil kii hunar kiyaa
us ;xaan-maa;N-;xaraab ne aa;Nkho;N me;N ghar kiyaa

*{74,2}

rang u;R chalaa chaman me;N gulo;N kaa to kyaa nasiim
ham ko to rozgaar ne be-baal-o-par kiyaa

*{74,3}

naaf((a jo thii;N mizaaj ko avval so ((ishq me;N
aa;xir unhii;N davaa))o;N ne ham ko .zarar kiyaa

{74,4}

martaa huu;N jaa;N de;N hai;N va:tan-daariyo;N pah log
aur sunte jaate hai;N kih har ik ne safar kiyaa

{74,5}

kyaa jaanuu;N bazm-e ((aish kih saaqii kii chashm dekh
mai;N .su;hbat-e sharaab se aage safar kiyaa

{74,6}

jis dam kih te;G-e ((ishq khi;Nchii buu al-havas kahaa;N
sun liijiyo kih ham hii ne siinah sipar kiyaa

{74,7}

dil za;xmii ho ke tujh ta))ii;N pahu;Nchaa to kam nahii;N
us niim-kushtah ne bhii qiyaamat jigar kiyaa

{74,8}

hai kaun aap me;N jo mile tujh se mast-e naaz
;zauq-e ;xabar hii ne to hame;N be-;xabar kiyaa

*{74,9}

vuh dasht-e ;xauf-naak rahaa hai miraa va:tan
sun kar jise ;xi.zar ne safar se ;ha;zar kiyaa

{74,10}

kuchh kam nahii;N hai;N shubadah-baazo;N se mai-gusaar
daaruu pilaa ke shai;x ko aadam se ;xar kiyaa

*{74,11}

hai;N chaaro;N :tarf ;xaime kha;Re gird-baad ke
kyaa jaaniye junuu;N ne iraadah kidhar kiyaa

{74,12}

luknat tirii zabaan kii hai si;hr jis se sho;x
yak ;harf-e niim-guftah ne dil par a;sar kiyaa

{74,13}

be-sharm ma;h.z hai vuh gunah-gaar jin ne miir
abr-e karam ke saamne daamaan tar kiyaa

 

{74,trans.}

Translations