ghazal |
pai;Gaam-e ;Gam jigar kaa gulzaar tak nah pahu;Nchaa
naalah miraa chaman kii diivaar tak nah pahu;Nchaa
us aa))ine ke maanind zangaar jis ko khaave
kaam apnaa us ke ;Gam me;N diidaar tak nah pahu;Nchaa
juu;N naqsh-e paa hai ;Gurbat ;hairaan-kaar us kii
aavaarah ho va:tan se jo yaar tak nah pahu;Nchaa
lab-rez-e shikvah the ham lekin ;hu.zuur tere
kaar-e shikaayat apnaa guftaar tak nah pahu;Nchaa
le chashm-e nam-rasiidah paanii chuvaane ko))ii
vaqt-e a;xiir us ke biimaar tak nah pahu;Nchaa
yih ba;xt-e sabz dekho baa;G-e zamaanah me;N se
pazhmurdah gul bhii apnii dastaar tak nah pahu;Nchaa
mastuurii ;xuub-ruu))ii dono;N nah jam((a hove;N
;xuubii kaa kaam kis kii i:zhaar tak
nah pahu;Nchaa
yuusuf se le ke taa gul phir gul se le ke taa sham((a
yih ;husn kis ko le kar baazaar tak nah pahu;Nchaa
afsos miir ve jo hone shahiid aa))e
phir kaam un kaa us kii talvaar tak nah pahu;Nchaa
Translations