ghazal |
;Gam rahaa jab tak kih dam me;N dam rahaa
dil ke jaane kaa nihaayat ;Gam rahaa
;husn thaa teraa bahut ((aalam-fareb
;xa:t ke aane par bhii ik ((aalam rahaa
dil nah pahu;Nchaa goshah-e daamaa;N talak
qa:trah-e ;xuu;N thaa mizhah par jam rahaa
sunte hai;N lail;aa ke ;xaime ko siyaah
us me;N majnuu;N kaa magar maatam rahaa
jaamah-e i;hraam-e zaahid par nah jaa
thaa ;haram me;N lek naa-ma;hram rahaa
zulfe;N kholii;N tuu to ;Tuk aayaa na:zar
((umr bhar yaa;N kaam-e dil barham rahaa
us ke lab se tal;x ham sunte rahe
apne ;haq me;N aab-e ;haivaa;N sam rahaa
mere rone kii ;haqiiqat jis me;N thii
ek muddat tak vuh kaa;Ga;z nam rahaa
.sub;h-e piirii shaam hone aa))ii miir
tuu nah chetaa yaa;N bahut din kam rahaa
Translations