ghazal |
kis kii masjid kaise mai;xaane kahaa;N ke shai;x-o-shaab
ek gardish me;N tirii chashm-e syah ke sab ;xaraab
tuu kahaa;N us kii kamar kiidhar nah karyo i.z:tiraab
ai rag-e gul dekhiyo khaatii hai jo tuu pech-o-taab
muu;Nd rakhnaa chashm kaa hastii me;N ((ain-e diid hai
kuchh nahii;N aataa na:zar
jab aa;Nkh khole hai ;habaab
tuu ho aur dunyaa ho saaqii mai;N huu;N mastii ho mudaam
par ba:t-e .sahbaa nikaale u;R chale rang-e sharaab
hai malaa;hat tere baa((i;s shor-pur tujh se namak
;Tuk to rah piirii chalii aatii hai
ai ((ahd-e shabaab
kab thii yih be-jur))atii shaayaan-e aahuu-e ;haram
;zab;h hotaa te;G se yaa aag me;N hotaa kabaab
kyaa ho rang-e raftah kyaa qaa.sid ho jis ko ;xa:t diyaa
juz javaab-e .saaf us se kab ko))ii laayaa javaab
vaa))e is jiine par ai mastii kih daur-e char;x me;N
jaam-e mai par gardish aave aur mai;xaanah ;xaraab
chob-e ;harfii bin alif be mai;N nahii;N pahchaantaa
huu;N mai;N abjad-;xvaa;N shinaasaa))ii ko mujh se kyaa ;hisaab
mat ;Dhalak mizhgaa;N se ab tuu ai sirishk-e aab-daar
muft me;N jaatii rahegii terii motii kii sii aab
kuchh nahii;N ba;hr-e jahaa;N kii mauj par mat bhuul miir
duur se daryaa na:zar aataa hai lekin hai saraab
Translations