#
First verse of the ghazal
Notes
 
 
{176}
royā kiye haiñ ġham se tire ham tamām shab
paṛtī rahī hai zor se shabnam tamām shab

5 v; M5
{177}
hotā nah pā-e sarv jo jū-e chaman meñ āb
to kaun qamriyoñ ke chuvātā dahan meñ āb

7 v; M5; on v.7 see SRF's article
*{178}
kis kī masjid kaise maiḳhāne kahāñ ke shaiḳh-o-shāb
ek gardish meñ tirī chashm-e siyah ke sab ḳharāb

11 v; M10; 1, 3, 4, 6; trans.
{179}
dekh ḳhvurshīd tujh ko ai maḥbūb
ʿaraq-e sharm meñ gayā hai ḍūb

6 v; M12; on v.6 see SRF's article; on v.6 see {256,2}; on v.6 see {365,9}
{180}
khā ke dānah yih dām bichhvāyā
huʾe ādam ko bhī bihisht naṣīb

1 v; M12
 
1 == dīvān-e avval == t
{181}
rozānah milūñ yār se yā shab ho mulāqāt
kyā fikr karūñ maiñ kih kisū ḍhab ho mulāqāt

5 v; M7
{182}
sab huʾe nādam paʾe tadbīr ho jānāñ samet
tīr to niklā mire sīne se lekin jāñ samet

5 v; M10
*{183}
palkoñ pah the pārah-e jigar rāt
ham āñkhoñ meñ le gaʾe bisar rāt

16 v; M8; 1, 5, 12, 13, 14, 15, 16; trans.
{184}
chhuṭtā hī nahīñ ho jise āzār-e muḥabbat
māyūs hūñ maiñ bhī kih hūñ bīmār-e muḥabbat

9 v; M7
*{185}
jī meñ hai yād-e ruḳh-o-zulf-e siyah fām bahut
ronā ātā hai mujhe har saḥar-o-shām bahut

6 v; M13; 1, 2, 4
*{186}
kyā kaheñ apnī us kī shab kī bāt
kahye hove jo kuchh bhī ḍhab kī bāt

7 v; M12; 3
{187}
har ṣubḥ dam karūñ hūñ alḥāḥ bā anābat
to bhī mirī duʿā se miltī nahīñ ajābat

3 v; M4
 

1 == dīvān-e avval ==
{188}
nah pāyā dil huʾā roz-e siyah se jis kā jā laṭ paṭ
kisū kī zulf ḍhūñḍī mū bah mū kākul ko sab laṭ paṭ

4 v; M20
 

1 == dīvān-e avval == j
{189}
āʾe haiñ mīr muñh ko banāʾe ḳhafā se āj
shāyad bigaṛ gaʾī hai kuchh us be-vafā se āj

5 v; M5; on v.4 see {1504,2}
 

1 == dīvān-e avval == ch
*{190}
kāsh uṭheñ ham bhī gunahgāroñ ke bīch
hūñ jo raḥmat ke sazāvāroñ ke bīch

10 v; M11; 3
{191}
fāʾidah miṣr meñ yūsuf rahe zindān ke bīch
bhej de kyūñ nah zulaiḳhā use kanʿān ke bīch

9 v; M13
{192}
kar nah tāḳhīr to ek shab kī mulāqāt ke bīch
din nah phir jāʾeñge ʿushshāq ke ik rāt ke bīch

8 v; M13
{193}
sāth ho ik bekasī ke ʿālam-e hastī ke bīch
bāz ḳhvāh-e ḳhūñ hai merā go usī bastī ke bīch

3 v; M10
 

1 == dīvān-e avval ==
{194}
hone lagā gużār-e ġham-e yār be-t̤araḥ
rahne lagā hai dil ko ab āzār be-t̤araḥ

5 v; M5; on v.5 see {1597,5}
{195}
ḳhāt̤ir kare hai jamʿa vuh har bār ek t̤arḥ
kartā hai charḳh mujh se naʾe yār ek t̤arḥ

11 v; M5
 

1 == dīvān-e avval == ḳh
{196}
hai nahīñ dushman-e jahāñ vuh shoḳh
in dinoñ kuchh hai mihrbāñ vuh shoḳh

1 v; M12
 

1 == dīvān-e avval == d
{197}
kyā hai yih jo gāhe ā jātī hai āñdhī koʾī zard
yā bagolā jo koʾī sar kheñche hai ṣaḥrā navard

5 v; M10
{198}
āvegī merī qabr se āvāz mere baʿd
ubhreñge ʿishq-e dil se tire rāz mere baʿd

7 v; M5
{199}
nah paṛhā ḳhat̤ ko yā paṛā qāṣid
āḳhir-e kār kyā kahā qāṣid

11 v; M12
{200}
hūñ rah-gużar meñ tere har naqsh-e pā hai shāhid
uṛtī hai ḳhāk merī bād-e ṣabā hai shāhid

5 v; M4
 

-- urdu script -- devanagari -- diacritics -- plain roman -- more information --