ghazal |
kyaa bulbul-e asiir hai be-baal-o-par kih ham
gul kab rakhe hai ;Tuk;Re jigar is qadar kih ham
;xvurshiid-e .sub;h nikle hai is nuur se kih tuu
shabnam girah me;N rakhtii hai yih chashm-e tar kih ham
jiite hai;N to dikhaa de;Nge da((vaa-e ((andaliib
gul bin ;xizaa;N me;N ab ke vuh rahtii hai mar kih ham
yih te;G hai yih :tasht hai yih ham hai;N kushtanii
khele hai kaun aisii :tara;h jaan par kih ham
talvaare;N tum lagaate ho ham he;Nge dam bah-;xvud
dunyaa me;N yih kare hai ko))ii dar-gu;zar kih ham
is just-juu me;N aur ;xaraabii to kyaa kahe;N
itnii nahii;N hu))ii hai .sabaa dar bah dar kih ham
jab jaa pha;Nsaa kahii;N to hame;N yaa;N hu))ii ;xabar
rakhtaa hai kaun dil tirii itnii ;xabar kih ham
jiite hai;N aur rote hai;N la;xt-e jigar hai miir
karte sunaa hai yuu;N ko))ii qiimah-jigar kih ham
Translations