#
First verse of the ghazal
Notes
 
 
*{276}
kyā bulbul-e asīr hai be-bāl-o-par kih ham
gul kab rakhe hai ṭukṛe jigar us qadar kih ham

8 v; M5; 1, 2, 4, 6; trans.
*{277}
āʾe to ho t̤abīhāñ tadbīr gar karo tum
aisā nah ho kih mere jī kā ẓarar karo tum

9 v; M4; 1, 2, 8, 9; on v.5 see {76,3}
{278}
jānā kih shuġhl rakhte ho tīr-o-kamāñ se tum
par mil chalā karo bhī kisū ḳhastah-jāñ se tum

9 v; M5
{279}
karte nahīñ haiñ dūrī se ab us kī bāk ham
nazdīk apne kab ke huʾe haiñ halāk ham

7 v; M5
{280}
nah phir rakheñge terī rah meñ pā ham
gaʾe gużre haiñ āḳhir aise kyā ham

10 v; M21
{281}
agar rāh meñ us kī rakkhā hai gām
gaʾe gużre ḳhiẓr-e ʿalaih us-salām

7 v; M23
{282}
garchih āvārah jūñ ṣabā haiñ ham
lek lag chalne meñ balā haiñ ham

11 v; M12
*{283}
ḥażar kih āh-e jigar-taftagāñ balā hai garm
hameshah āg hī barse hai yāñ havā hai garm

5 v; M25; 5
{284}
karte haiñ guft-gū saḥr uṭh kar ṣabā se ham
laṛne lage haiñ ḥijr meñ us ke havā se ham
7 v; M5
 
1 == dīvān-e avval == n
{285}
be-kalī be-ḳhvudī kuchh āj nahīñ
ek muddat se vuh mizāj nahīñ

4 v; M12
{286}
vaḥshat meñ hūñ balā gar vādī par apnī āʾūñ
majnūñ kī maḥnateñ sab maiñ ḳhāk meñ milāʾūñ

11 v; M4; on v.8 see {546,3}
{287}
sozish-e dil se muft galte haiñ
dāġh jaise chirāġh jalte haiñ

11 v; M12
{288}
āyā kamāl naqṣ mire dil kī tāb meñ
jātā hai jī jalā hī mirā iẓt̤irāb meñ

11 v; M5
{289}
be-rūy-o-zulf-e yār hai rone see kām yāñ
dāman hai muñ h pah abr namat̤ ṣubḥ-o-shām yāñ

7 v; M5
*{290}
nah gayā ḳhayāl-e zulf-e siyah-e jafā shiʿārāñ
nah huʾā kih ṣubḥ hove shab-e tīrah rozgārāñ

10 v; M27; 10; on v.3 see {453,1}
*{291}
us ke kūche se jo uṭh ahl-e vafā jāte haiñ
tā naz̤ar kām kare rū bah qafā jāte haiñ

8 v; M13; 1, 2, 5; the actual rhyme is only ā
*{292}
kahyo qāṣid jo vuh pūchhe hameñ kyā karte haiñ
jān-o-īmān-o-muḥabbat ko duʿā karte haiñ

14 v; M13; 1, 6, 7, 9, 11; on v.2 see {1853,5}
*{293}
mustaujib-e z̤ulm-o-sitam-o-jaur-o-jafā hūñ
har chand kih jaltā hūñ pah sar-garm-e vafā hūñ

12 v; M7; 1, 7, 8, 12; trans.; the actual rhyme is only ā
{294}
jins-e girāñ ko tujh se jo log chāhte haiñ
ve rog apne jī ko nā-ḥaq bisāhte haiñ

5 v; M4
{295}
yih tark ho ke ḳhashin kaj agar kalāh kareñ
to bū ul-havas nah kabhū chashm ko siyāh kareñ

9 v; M25
*{296}
rāẓī hūñ go kih baʿd az ṣad sāl-o-māh dekhūñ
akṡar nahīñ to tujh ko maiñ gāh gāh dekhuñ

12 v; M4; 1, 5, 12
*{297}
mashhūr haiñ dinoñ kī mire ba-qarāriyāñ
jātī haiñ lāmakāñ ko dil-e shab kī zāriyāñ

11 v; M5; 1, 2, 4, 7; trans.
{298}
gar kuchh ho dard āʾinah yūñ charḳh-e zisht meñ
un ṣūratoñ ko ṣarf kare ḳhāk-o-ḳhisht meñ

8 v; M5
*{299}
dard-o-andoh meñ ṭhahrā jo rahā maiñ hī hūñ
rang rū jis ke kabhū muñh nah chaṛhā maiñ hī hūñ

13 v; M13; 1, 4, 6, 13; trans.
{300}
nikle hai jins-e ḥusn kisī kāravān meñ
yih vuh nahīñ mutāʿ kih ho har dukān meñ

10 v; M5; on v.3 see {837,2}
 

 
-- urdu script -- devanagari -- diacritics -- plain roman -- more information --