ghazal |
hastii apnii ;habaab kii sii hai
yih numaa))ish saraab kii sii hai
naazukii us ke lab kii kyaa kahye
pankh;Rii ik gulaab kii sii hai
chashm-e dil khol us bhii ((aalam par
yaa;N kii auqaat ;xvaab kii sii hai
baar baar us ke dar pah jaataa huu;N
;haalat ab i.z:tiraab kii sii hai
nuq:tah-e ;xaal se tiraa abruu
bait ik inti;xaab kii sii hai
mai;N jo bolaa kahaa kih yih aavaaz
usii ;xaanah-;xaraab kii sii hai
aatish-e ;Gam me;N dil bhunaa shaayad
der se buu kabaab kii sii hai
dekhiye abr kii :tara;h ab ke
merii chashm-e pur-aab kii sii hai
miir un niim-baaz aa;Nkho;N me;N
saarii mastii sharaab kii sii hai
Translations