ghazal |
bahuto;N ko aage thaa yihii aazaar ((ishq kaa
jiitaa rahaa ko))ii bhii biimaar ((ishq kaa
be-pardagii bhii chaah kaa hotaa hai laazimah
khultaa hii hai nadaan yih israar ((ishq kaa
zindaanii sai;Nka;Ro;N mire aage rihaa hu))e
chhuu;Taa nah mai;N hii thaa jo gunahgaar ((ishq kaa
;xvaahaan-e marg mai;N hii hu))aa huu;N magar nayaa
jii beche hii phire hai ;xariidaar ((ishq kaa
man.suur ne jo sar ko ka;Taayaa to kyaa hu))aa
har sar kahii;N hu))aa hai sazaavaar ((ishq kaa
jaataa vuhii sunaa hamah-;hasrat jahaan se
hotaa hai jis kisuu se bahut pyaar ((ishq kaa
phir ba((d mere aaj talak sar nahii;N bikaa
ik ((umr se kasaad hai baazaar ((ishq kaa
lag jaave dil kahii;N to use jii me;N apne rakh
rakhtaa nahii;N shaguun kuchh i:zhaar ((ishq kaa
chhuu;Taa jo mar ke qaid-e ((ibaaraat me;N pha;Nsaa
al-qi.s.sah kyaa rihaa ho giriftaar ((ishq kaa
mushkil hai ((umr kaa;Tnii talvaar ke tale
sar me;N ;xayaal go kih rakhe;N yaar ((ishq kaa
vaa;N rustamo;N ke da((ve ko dekhaa hai hote qa:t((a
puuraa jahaa;N lagaa hai ko))ii vaar ((ishq kaa
kho))e rahaa nah jaan ko naa-aazmuudah-kaar
hotaa nah miir kaash :talabgaar ((ishq kaa
Translations