ghazal
{877}

 
-- urdu script -- devanagari -- diacritics -- plain roman -- more information --
 

*{877,1}

kis kane jāʾūñ ilâhī kyā davā paidā karūñ
dil to kuchh dhañskā hī jātā hai karūñ so kyā karūñ

 

*{877,5}

dil pareshānī mujhe de hai bikhere gul ke rang
āp ko jūñ ġhunchah kyūñ-kar āh maiñ yak-jā karūñ

*{877,6}

ek chashmak hī chalī jātī hai gul kī merī or
yaʿnī bāzār-e junūñ meñ jāʾūñ kuchh saudā karūñ

 

*{877,10}

ab ke himmat ṣarf kar jo us se jī uchṭe mirā
phir duʿā ai mīr mat karyo agar aisā karūñ