ghazal |
aaj hamaare ghar aayaa hai tuu kyaa hai yaa;N jo ni;saar kare;N
illaa khe;Nch ba;Gal me;N tujh ko der talak ham pyaar kare;N
;xaak hu))e bar-baad hu))e paa-maal hu))e sab ma;hv hu))e
aur shadaa))id ((ishq kii rah ke kaise ham hamvaar kare;N
zardi-e ru;x ronaa har dam kaa shaahid do jab aise ho;N
chaahat kaa in.saaf karo tum kyuu;N-kar ham inkaar kare;N
baa;G me;N ab aa jaate hai;N to .sarfah apnaa chup me;N hai
;xuubii bayaa;N kar terii ham kyaa gul ko gale kaa haar kare;N
shevah apnaa be-parvaa))ii naumiidii se ;Thahraa hai
kuchh bhii vuh ma;Gruur dabe to minnat ham sau baar kare;N
ham to faqiir hai;N ;xaak baraabar aa bai;The to lu;tf kiyaa
nang-e jahaa;N lagtaa ho un ko vaa;N ve aisii ((aar kare;N
pattaa pattaa gulshan kaa to ;haal hamaaraa jaane hai
aur kahe to jis se ai gul be-bargii i;zhaar kare;N
kyaa un ;xvush-;zaahir logo;N se ham yih tavaqqu(( rakhte the
;Ghair ko le kar paas yih bai;The;N ham ko galyo;N me;N ;xvaar kare;N
miir-jii he;Nge ek jo aa))e kyaa ham un se dard kahe;N
kuchh bhii jo sun paave;N to yih majlis me;N bistaar kare;N
Translations