ghazal |
kartaa hai kab suluuk vuh ahl-e niyaaz se
guftaar us kii kubr se raftaar naaz se
yuu;N kab hamaare aa;Nsuu puchhe;N hai;N kih tuu ne sho;x
dekhaa kabhuu idhar mizhah-e niim-baaz se
;xaamosh rah sake nah to ba;Rh kar bhii kuchh nah kah'h
sar sham((a kaa ka;Te hai zabaan-e daraaz se
ab jaa kisuu dara;xt ke saa))e me;N bai;Thiye
is :taur phirye kab ta))ii;N be-barg-o-saaz se
yih kyaa kih dushmano;N me;N mujhe saan'ne lage
karte kisuu ko ;zab;h bhii to imtiyaaz se
maanind-e sham((a ;Tapke hii pa;Rte hai;N ab to ashk
kuchh jalte jalte ho ga))e hai;N ham gudaaz se
shaayad kih aaj raat ko the maikade me;N miir
khele thaa ek mu;G-bachah muhr-e namaaz se