ghazal |
yih saraa sone kii jaagah nahii;N bedaar raho
ham ne kar dii hai ;xabar tum ko ;xabar-daar raho
aap to aise bane ab kih jale jii sab kaa
ham ko kahte hai;N kih tum jii ke ta))ii;N maar raho
laag agar dil ko nahii;N lu:tf nahii;N jiine kaa
uljhe suljhe kisuu kaakul ke giriftaar raho
garchih vuh gauhar-e tar haath nahii;N lagtaa lek
dam me;N dam jab ta))ii;N hai us ke :talab-gaar raho
saare baazaar-e jahaa;N kaa hai yihii mol ai miir
jaan ko bech ke bhii dil ke ;xariidaar raho