ghazal
{1504}

 
-- urdu script -- devanagari -- diacritics -- plain roman -- more information --
 

*{1504,1}

chalte ho to chaman ko chalye kahte haiñ kih bahārāñ hai
pāt hare haiñ phūl khile haiñ kam kam bād-o-bārāñ hai

*{1504,2}

rang havā se yūñ ṭapke hai jaise sharāb chuvāte haiñ
āge ho mai-ḳhāne ke niklo ʿahd-e bādah-gusārāñ hai

*{1504,3}

ʿishq ke maidāñ-dāroñ meñ bhī marne kā hai vaṣf bahut
yaʿnī muṣībat aisī uṭhānā kār-e kār-gużārāñ hai

{1504,4}

dil hai dāġh jigar hai ṭukṛe āñsū sāre ḳhūn huʾe
lohū pānī ek kare yih ʿishq-e lālah-ʿiżārāñ hai

*{1504,5}

kohkan-o-majnūñ kī ḳhāt̤ir dasht-o-koh meñ ham nah gaʾe
ʿishq meñ ham ko mīr nihāyat pās-e ʿizzat-dārāñ hai