yak ;zarrah-e zamii;N nahii;N bekaar baa;G kaa
yaa;N jaadah bhii fatiilah hai laale ke daa;G kaa
be-mai kise hai :taaqat-e aashob-e aagahii
khe;Nchaa hai ((ajz-e ;hau.salah ne ;xa:t:t ayaa;G kaa
bulbul ke kaar-o-baar pah hai;N ;xandah'haa-e
gul
kahte hai;N jis ko ((ishq ;xalal hai dimaa;G kaa
taazah nahii;N hai nashshah-e fikr-e
su;xan mujhe
tiryaakii-e qadiim huu;N duud-e chiraa;G kaa
sau baar band-e ((ishq se aazaad ham hu))e
par kyaa kare;N kih dil hii ((aduu hai faraa;G kaa
be-;xuun-e dil hai chashm me;N mauj-e nigah ;Gubaar
yih mai-kadah ;xaraab hai mai ke suraa;G kaa
baa;G-e shiguftah teraa bisaa:t-e nashaa:t-e
dil
abr-e bahaar ;xum-kadah kis ke dimaa;G kaa
josh-e bahaar kulfat-e na:z:zaarah hai asad
hai abr punbah rauzan-e diivaar-e baa;G kaa