gulshan me;N band-o-bast bah rang-e
digar hai aaj
qumrii kaa :tauq ;halqah-e beruun-e dar hai aaj
aataa hai ek paarah-e dil har fi;Gaa;N
ke saath
taar-e nafas kamand-e shikaar-e a;sar hai aaj
ai ((aafiyat kinaarah kar ai inti:zaam
chal
sailaab-e giryah dar-pa-e diivaar-o-dar hai aaj
ma((zuulii-e tapish hu))ii ifraa:t-e inti:zaar
chashm-e kushaadah ;halqah-e beruun-e dar hai aaj
taa .sub;h hai bah manzil-e maq.sad rasiidanii
duud-e chiraa;G-e ;xaanah ;Gubaar-e safar hai aaj
duur-uuftaadah-e chaman-e fikr hai asad
mur;G-e ;xayaal bulbul-e be-baal-o-par hai aaj