junuu;N kii dast-giirii kis se ho gar
ho nah ((uryaanii
garebaa;N-chaak kaa ;haq ho gayaa hai merii gardan par
bah rang-e kaa;Ga;z-e aatish-zadah nairang-e
betaabii
hazaar aa))iinah dil baa;Ndhe hai baal-e yak tapiidan par
falak se ham ko ((aish-e raftah kaa
kyaa kyaa taqaa.zaa hai
mataa((-e burdah ko samjhe hu))e hai;N qar.z rahzan par
ham aur vuh be-sabab ranj-aashnaa dushman
kih rakhtaa hai
shu((aa-e mihr se tuhmat nigah kii chashm-e rauzan par
fanaa ko sau;Np gar mushtaaq hai apnii
;haqiiqat kaa
furo;G-e :taala((-e ;xaashaak hai mauquuf gul;xan par
asad bismil hai kis andaaz kaa qaatil
se kahtaa hai
kih mashq-e naaz kar ;xuun-e do-((aalam merii gardan par
fusuun-e yak-dilii hai la;z;zat-e bedaad
dushman par
kih vaj'h-e barq jyuu;N parvaanah baal-afshaa;N hai ;xirman par
takalluf ;xaar-;xaar-e iltimaas-e be-qaraarii
hai
kih rishtah baa;Ndhtaa hai pairahan angusht-e sozan par
yih kyaa va;hshat hai ai diivaane pesh az marg vaa-vailaa
rakhii be-jaa binaa-e ;xaanah-e zanjiir shevan par