;zikr meraa bah badii bhii use man:zuur
nahii;N
;Gair kii baat biga;R jaa))e to kuchh duur nahii;N
va((dah-e sair-e gulistaa;N hai ;xvushaa
:taala((-e shauq
muzhdah-e qatl muqaddar hai jo ma;zkuur nahii;N
shaahid-e hastii-e mu:tlaq kii kamar
hai ((aalam
log kahte hai;N kih hai par hame;N man:zuur nahii;N
qa:trah apnaa bhii ;haqiiqat me;N hai
daryaa lekin
ham ko taqliid-e tunuk-:zarfii-e man.suur nahii;N
;hasrat ai ;zauq-e ;xaraabii kih vuh
:taaqat nah rahii
((ishq-e pur-((arbadah kii gau;N tan-e ranjuur nahii;N
mai;N jo kahtaa huu;N kih ham le;Nge
qiyaamat me;N tumhe;N
kis ra((uunat se vuh kahte hai;N kih ham ;huur nahii;N
:zulm kar :zulm agar lu:tf dare;G aataa
ho
tuu ta;Gaaful me;N kisii rang se ma((;zuur nahii;N
.saaf durdii-kash-e paimaanah-e jam
hai;N ham log
vaa))e vuh baadah kih afshardah-e anguur nahii;N
huu;N :zuhuurii ke muqaabil me;N ;xafaa))ii
;Gaalib
mere da((ve pah yih ;hujjat hai kih mashhuur nahii;N
pii;Th mi;hraab kii qible kii :taraf rahtii hai
mahv-e nisbat hai;N takalluf hame;N man:zuur nahii;N