naalah juz ;husn-e :talab ai sitam-iijaad
nahii;N
hai taqaa.zaa-e jafaa shikvah-e bedaad nahii;N
((ishq-o-mazduurii-e ((ishrat-gah-e
;xusrau kyaa ;xuub
ham ko tasliim niko-naamii-e farhaad nahii;N
kam nahii;N vuh bhii ;xaraabii me;N
pah vus((at ma((luum
dasht me;N hai mujhe vuh ((aish kih ghar yaad nahii;N
ahl-e biinish ko hai :tuufaan-e ;havaadi;s
maktab
la:tmah-e mauj kam az siilii-e ustaad nahii;N
vaa))e ma;hruumii-e tasliim-o-badaa
;haal-e vafaa
jaantaa hai kih hame;N :taaqat-e faryaad nahii;N
rang-e tamkiin-e gul-o-laalah pareshaa;N
kyuu;N hai
gar chiraa;Gaan-e sar-e rah-guzar-e baad nahii;N
sabad-e gul ke tale band kare hai gul-chiin
muzhdah ai mur;G kih gulzaar me;N .saiyaad nahii;N
nafii se kartii hai i;sbaat taraavish
goyaa
dii hai jaa-e dahan us ko dam-e iijaad nahii;N
kam nahii;N jalvah-garii me;N tire kuuche
se bihisht
yihii naqshah hai vale is qadar aabaad nahii;N
karte kis mu;Nh se ho ;Gurbat kii shikaayat
;Gaalib
tum ko be-mihrii-e yaaraan-e va:tan yaad nahii;N