zamaanah sa;xt kam-aazaar hai bah jaan-e
asad
vagarnah ham to tavaqqu(( ziyaadah rakhte hai;N
tan-e bah band-e havas dar nadaadah rakhte hai;N
dil-e z kaar-e jahaa;N uuftaadah rakhte hai;N
tamiiz-e zishtii-o-nekii me;N laakh baate;N hai;N
bah ((aks-e aa))inah yak fard-e saadah rakhte hai;N
bah rang-e saayah hame;N bandagii me;N hai tasliim
kih daa;G-e dil bah jabiin-e kushaadah rakhte hai;N
bah zaahidaa;N rag-e gardan hai rishtah-e zunnaar
sar-e bah paa-e bute
naa-nihaadah rakhte hai;N
mu((aaf-e behudah-go))ii hai;N naa.si;haan-e ((aziiz
dil-e bah dast-e nigaare nah-daadah rakhte hai;N
bah rang-e sabzah ((aziizaan-e bad-zabaa;N yak-dast
hazaar te;G-e bah zahr-aab-daadah rakhte hai;N
adab ne sau;Npii hame;N surmah-saa))ii-e ;hairat
zabaan-e bastah-o-chashm-e kushaadah rakhte hai;N