az mihr taa bah-;zarrah dil-o-dil hai
aa))inah
:tuu:tii ko shash jihat se muqaabil hai aa))inah
yaa;N rah ga))e hai;N naa;xun-e tadbiir ;Tuu;T kar
jauhar :tilism ((uqdah-e mushkil hai aa))inah
ham-zaanuu-e ta))ammul-o-ham-jalvah-gaah-e gul
aa))iinah-band-e ;xalvat-o-ma;hfil hai aa))inah
dil kaar-gaah-e fikr-o-asad be-navaa-e dil
yaa;N sang-e aastaanah-e bedil hai aa))inah