masjid ke zer-e saayah ;xaraabaat chaahiye
bho;N paas aa;Nkh qiblah-e ;haajaat chaahiye
((aashiq hu))e hai;N aap bhii ek aur
sha;x.s par
aa;xir sitam kii kuchh to mukaafaat chaahiye
de daad ai falak dil-e ;hasrat-parast
kii
haa;N kuchh nah kuchh talaafii-e maafaat chaahiye
siikhe hai;N mah-ru;xo;N ke liye ham
mu.savvarii
taqriib kuchh to bahr-e mulaaqaat chaahiye
mai se ;Gara.z nashaa:t hai kis ruu-siyaah
ko
ik guunah be-;xvudii mujhe din raat chaahiye
This marks the beginning of a verse-set that includes {131,6-9}. Some editors place {131,6} at the end, since it's formally a closing-verse.
nashv-o-numaa hai a.sl se ;Gaalib furuu((
ko
;xaamoshii hii se nikle hai jo baat chaahiye
hai rang-e laalah-o-gul-o-nasrii;N judaa
judaa
har rang me;N bahaar kaa i;sbaat chaahiye
sar paa-e ;xum pah chaahiye hangaam-e
be-;xvudii
ruu suu-e qiblah vaqt-e munaajaat chaahiye
ya((nii bah ;hasb-e gardish-e paimaanah-e
.sifaat
((aarif hameshah mast-e mai-e ;zaat chaahiye
vuh baat chaahte ho kih jo baat chaahiye
.saahib ke ham-nishii;N ko karaamaat chaahiye