;haa.sil se haath dho bai;Th ai aarzuu-;xiraamii
dil josh-e giryah me;N hai ;Duubii hu))ii asaamii
us sham((a kii :tara;h se jis ko ko))ii
bujhaa de
mai;N bhii jale hu))o;N me;N huu;N daa;G-e naa-tamaamii
karte ho shikvah kis kaa tum aur be-vafaa))ii
sar pii;Tte hai;N apnaa ham aur nek-naamii
.sad rang gul katarnaa dar pardah qatl karnaa
te;G-e adaa nahii;N hai paaband-e be-niyaamii
:tarf-e su;xan nahii;N hai mujh se ;xudaa nah kardah
hai naamah-bar ko us se da((vaa-e ham-kalaamii
hai yaas me;N asad ko saaqii se bhii faraa;Gat
daryaa se ;xushk guzrii masto;N kii tishnah-kaamii