:zulmat-kade me;N mere shab-e ;Gam kaa
josh hai
ik sham((a hai daliil-e sa;har so ;xamosh hai
ne muzhdah-e vi.saal nah na:z:zaarah-e
jamaal
muddat hu))ii kih aashtii-e chashm-o-gosh hai
mai ne kiyaa hai ;husn-e ;xvud-aaraa
ko be-;hijaab
ai shauq haa;N ijaazat-e tasliim-e hosh hai
gauhar ko ((aqd-e gardan-e ;xuubaa;N
me;N dekhnaa
kyaa auj par sitaarah-e gauhar-farosh hai
diidaar baadah ;hau.slah saaqii nigaah
mast
bazm-e ;xayaal mai-kadah-e be-;xarosh hai
This verse is the beginning of a verse-set that includes {169,6-12}.
ai taazah-vaaridaan-e bisaa:t-e havaa-e
dil
zinhaar agar tumhe;N havas-e naay-o-nosh hai
dekho mujhe jo diidah-e ((ibrat-nigaah
ho
merii suno jo gosh-e na.sii;hat-niyosh hai
saaqii bah jalvah dushman-e iimaan-o-aagahii
mu:trib bah na;Gmah rahzan-e tamkiin-o-hosh hai
yaa shab ko dekhte the kih har goshah-e
bisaa:t
daamaan-e baa;G-baan-o-kaf-e gul-farosh hai
lu:tf-e ;xiraam-e saaqii-o-;zauq-e .sadaa-e
chang
yih jannat-e nigaah vuh firdaus-e gosh hai
yaa .sub;h-dam jo dekhiye aa kar to
bazm me;N
ne vuh suruur-o-soz nah josh-o-;xarosh hai
daa;G-e firaaq-e .su;hbat-e shab kii
jalii hu))ii
ik sham((a rah ga))ii hai so vuh bhii ;xamosh hai
aate hai;N ;Gaib se yih ma.zaamii;N
;xayaal me;N
;Gaalib .sariir-e ;xaamah navaa-e sarosh hai
ho kar shahiid ((ishq me;N paa))e hazaar jism
har mauj-e gard-e raah mire sar ko dosh hai