siyaahii jaise gir jaave dam-e ta;hriir
kaa;Ga;z par
mirii qismat me;N yuu;N ta.sviir hai shab'haa-e hijraa;N kii
hameshah mujh ko :tiflii me;N bhii mashq-e tiirah-rozii thii
siyaahii hai mire ayyaam me;N lau;h-e dabistaa;N kii
dare;G aah-e sa;har-gah kaar-e baad-e .sub;h kartii hai
kih hotii hai ziyaadah sard-mihrii sham((a-ruuyaa;N kii
;xudaa yaa kis qadar ahl-e na:zar ne ;xaak chhaanii hai
kih hai;N .sad-ra;xnah juu;N ;Girbaal diivaare;N gulistaa;N kii