ghazal |
jis sar ko ;Guruur aaj hai yaa;N taaj-varii
kaa
kal us pah yahii;N shor hai phir nau;hah-garii kaa
sharmindah tire ru;x se hai ru;xsaar parii
kaa
chaltaa nahii;N kuchh aage tire kabk-e darii kaa
aafaaq kii manzil se gayaa kaun salaamat
asbaab lu;Taa raah me;N yaa;N har safarii kaa
zindaa;N me;N bhii shorish nah ga))ii apne
junuu;N kii
ab sang mudaavaa hai is aashuftah-sarii kaa
har za;xm-e jigar daavar-e ma;hshar se
hamaaraa
in.saaf-:talab hai tirii be-daad-garii kaa
apnii to jahaa;N aa;Nkh la;Rii phir vahii;N
dekho
aa))iine ko lapkaa hai pareshaa;N-na:zarii kaa
.sad mausam-e gul ham ko tah-e baal hii
gu;zre
maqduur nah dekhaa kabhuu be-baal-o-parii kaa
is rang se jhamke hai palak par kih kahe
tuu
;Tuk;Raa hai miraa ashk ((aqiiq-e jigarii kaa
kal sair kiyaa ham ne samundar ko bhii
jaa kar
thaa dast-nigar panjah-e mizhgaa;N kii tarii kaa
le saa;Ns bhii aahistah kih naazuk hai
bahut kaam
aafaaq kii is kaar-gah-e shiishah-garii kaa
;Tuk miir-e jigar-so;xtah kii jald ;xabar
le
kyaa yaar bharosah hai chiraa;G-e sa;harii kaa
Translations