ghazal
{19}

 
 

*{19,1}

farhaad haath teshe pah ;Tuk rah ke ;Daaltaa
patthar tale kaa haath hii apnaa nikaaltaa

{19,2}

big;Raa agar vuh sho;x to sunyo kih rah gayaa
;xvurshiid apnii te;G-o-sipar hii sa;Nbhaaltaa

{19,3}

yih sar tabhii se guuve hai maidaan-e ((ishq kaa
phirtaa thaa jin dino;N me;N tuu ge;Nde;N uchhaaltaa

*{19,4}

bin sar ke pho;Re bantii nah thii kohkan ke ta))ii;N
;xusrau se sang-e siinah ko kis :taur ;Taaltaa

*{19,5}

chhaatii se ek baar lagaataa jo vuh to miir
barso;N yih za;xm siine kaa ham ko nah saaltaa

 

{19,trans.}

Translations