ghazal |
aa;Nkho;N me;N jii miraa hai idhar yaar dekhnaa
((aashiq kaa apne aa;xirii diidaar dekhnaa
kaisaa chaman kih ham se asiiro;N ko man((a hai
chaak-e qafas se baa;G kii diivaar dekhnaa
.saiyaad dil hai daa;G-e judaa))ii se rashk-e baa;G
tujh ko bhii ho na.siib yih gul-zaar dekhnaa
gar zamzamah yihii hai ko))ii din to ham-.safiir
is fa.sl hii me;N ham ko giriftaar dekhnaa