ghazal |
bāt amal kī chalī hī jātī hai
hai magar ʿauj bin ʿanaq kī ṭāñg
ban jo kuchh ban sake javānī meñ
rāt to thoṛī hai bahut hai sāñg
ʿishq kā shor koʾī chhuptā hai
nālah-e ʿandalīb hai gul-bāñg
us żaqan meñ bhī sabzī hai ḳhat̤ kī
dekho jīdhar kuñvʾeñ paṛī hai bhāñg
kis t̤araḥ un se koʾī garm mile
sīm-tan pighle jāte haiñ jyūñ rāñg
chalī jātī hai ḥasb-e qadr buland
dūr tak us pahāṛ kī hai ḍāñg
tafrah bāt̤il thā t̤ūr par apne
varnah jāte yih dauṛ ham bhī phalāñg
maiñ ne kyā is ġhazal ko sahl kiyā
qāfiye hī the us ke ūṭ paṭāñg
mīr bandoñ se kām kab niklā
māñgnā hai jo kuchh ḳhudā se māñg