ghazal |
mashhuur hai;N dino;N kii mire be-qaraariyaa;N
jaatii hai;N laa-makaa;N ko dil-e shab kii zaariyaa;N
chahre pah jaise za;xm hai naa;xun kaa har ;xaraash
ab diidanii hu))ii hai;N mirii dast-kaariyaa;N
sau baar ham ne gul ke ga))e par chaman ke biich
bhar dii hai;N aab-e chashm se raato;N ko kyaariyaa;N
kushte kii us ke ;xaak-bhare jism-e zaar par
;xaalii nahii;N hai;N lu:tf se lohuu kii dhaariyaa;N
turbat se ((aashiqo;N ke nah u;T;Thaa kabhuu ;Gubaar
jii se ga))e vale nah ga))ii;N raaz-daariyaa;N
ab kis kis apnii ;xvaahish-e murdah ko ro))iye
thii;N ham ko us se sai;Nka;Ro;N ummiid-vaariyaa;N
pa;Rhte phire;Nge galyo;N me;N in re;xto;N ko log
muddat rahe;Ngii yaad yih baate;N hamaariyaa;N
kyaa jaante the aise din aa jaa))e;Nge shitaab
rote gu;zartiyaa;N hai;N hame;N raate;N
saariyaa;N
gul ne hazaar rang su;xan sar kiyaa vale
dil se ga))ii;N nah baate;N tirii pyaarii pyaariyaa;N
jaa))oge bhuul ((ahd ko farhaad-o-qais ke
gar pahu;Nche;N
ham shikastah-dilo;N kii bhii baariyaa;N
bach jaataa ek raat jo ka;T jaatii aur miir
kaa;Tii;N thii;N kohkan ne bahut raate;N bhaariyaa;N
Translations