ghazal |
ab tang huu;N bahut mai;N mat aur dushmanii kar
laago ho mere jii kaa itnii hii dostii kar
jab tak shigaaf the kuchh itnaa nah jii ruke thaa
pachhtaa))e ham nihaayat siine ke chaak sii kar
qi.s.sah nahii;N sunaa kyaa yuusuf hii kaa jo tuu ne
ab bhaa))iiyo;N se chande to gurg-aashtii kar
naa-saazii-o-;xushuunat jangal hii chaahtii hai
shahro;N me;N ham nah dekhaa
baaliidah hote kiikar
kuchh aaj ashk-e ;xuunii;N mai;N ne nahii;N chhupaayaa
rah rah gayaa huu;N barso;N lohuu ko apne pii kar
kis murdanii ko us bin bhaatii hai zindagaanii
bas jii chukaa bahut mai;N ab kyaa karuu;Ngaa jii kar
;harf-e ;Gala:t ko sun kar dar-pai nah ;xuu;N ke honaa
jo kuchh kiyaa hai mai;N ne pahle use sahii kar
din raat ka;Rhte ka;Rhte mai;N bhii bahut rukaa huu;N
jo tujh se ho sake so ab tuu bhii mat kamii kar
rahtii hai jo niko))ii rahtaa nahii hai ko))ii
tuu bhii jo yaa;N rahe to zinhaar mat badii kar
thii jab talak javaanii ranj-o-ta((ab u;Thaa))e
ab kyaa hai miir jii me;N tark-e sitam-garii kar
Translations