ghazal
{874}

 
 

{874,1}

ashk ke josh se huu;N sham-o-sa;har paanii me;N
jaise maahii hai mujhe sair-o-safar paanii me;N

*{874,2}

shab nahaataa thaa jo vuh rashk-e qamar paanii me;N
gathii mahtaab se u;Thtii thii lahar paanii me;N

*{874,3}

saath us ;husn ke detaa thaa dikhaa))ii vuh badan
jaise jhamke hai pa;Raa gauhar-e tar paanii me;N

*{874,4}

rone se bhii nah hu))aa sabz dara;xt-e ;xvaahish
garchih marjaa;N kii :tara;h thaa yih shajar paanii me;N

{874,5}

mauj-e giryah kii vuh shamshir hai jis ke ;Dar se
juu;N kashaf ;xa.sm chhipaa zer-e sipar paanii me;N

{874,6}

bai;Thne se kisuu dil .saaf ke sar mat to cha;Rhe
;xuub saa kar le ta))amul to utar paanii me;N

*{874,7}

aatish-e ((ishq ne raavan ko jalaa kar maaraa
garchih lankaa saa thaa us dev kaa ghar paanii me;N

{874,8}

joshish-e ashk me;N shab dil bhii gayaa siine se
kuchh nah ma((luum hu))aa haa))e a;sar paanii me;N

{874,9}

burd-baarii hii me;N kuchh qadr hai go jii ho fanaa
((uud phir lak;Rii ;Duube nah agar paanii me;N

{874,10}

chashm-e tar hii me;N rahe kaash vuh rahe;xvush-rang
phuul rahtaa hai bahut tazah-o-tar paanii me;N

{874,11}

ro))uu;N to aatish-e dil sham((a nama:t bujhtii nahii;N
mujh ko le jaa ke ;Dubo deve;N magar paanii me;N

{874,12}

giryah-e zaar me;N betaabii-e dil :turfah nahii;N
sai;Nka;Ro;N karte hai;N pairaak-e hunar paanii me;N

{874,13}

barg-e gul juu;N gu;zar-e aab se aate hai;N chale
rone se vuu;Nhii mire la;xt-e jigar paanii me;N

{874,14}

ma;hv kar aap ko yuu;N hastii me;N us kii jaise
buu;Nd paanii kii nahii;N aatii na:zar paanii me;N

{874,15}

vuh guhar aa;Nkh se jaave to thame aa;Nsuu miir
itnaa royaa huu;N kih huu;N taa bah kamar paanii me;N

 

{874,trans.}

Translations