ghazal |
duurii-e yaar me;N hai ;haal-e dil abtar apnaa
ham ko sau kos se aataa hai na:zar ghar apnaa
yak gha;Rii .saaf nahii;N ham se hu))aa yaar kabhii
dil bhii juu;N shiishah-e saa((at hai mukaddar apnaa
har :taraf aa))inah-daarii me;N hai us ke ruu kii
shauq se dekhiye mu;Nh hove hai kiidhar apnaa
pesh kuchh aa))o yihii;N ham to hai;N har .suurat se
mi;sl-e aa))iinah nahii;N chho;Rte ham ghar apnaa
dil bahut khe;Nchtii hai yaar ke kuuche kii zamii;N
lohuu is ;xaak pah girnaa hai muqarrar apnaa