ghazal |
qatl-gah me;N dast-bos us kaa kare;N fii al-faur log
ham kha;Re talvaare;N khaave;N naqsh maare;N aur log
kaj-ravii ham ((aashiqo;N se us kii bas ab jaa chukii
ek to naa-saaz phir us se mile be-:taur log
za;xm-e te;G-e yaar ;Gaa))ir ho ke pahu;Nchaa dil talak
;haif mere ;haal par karte nahii;N ;Tuk ;Gaur log
jaa ke dunyaa se tujhe yaad aa))uu;Ngaa mai;N bhii bahut
ba((d mere kab u;Thaave;Nge tire yih jaur log
rasm-o-((aadat hai kih har yak vaqt kaa hotaa hai ;zikr
miir baare yaad kar rove;Nge kyaa yih daur log