ghazal |
daa;G-e firaaq se kyaa puuchho ho aag lagaa))ii siine me;N
chhaatii se vuh mah nah lagaa ;Tuk aa kar is bhii mahiine me;N
guu;Ndh ke pattii gul kii goyaa vuh tarkiib banaa))ii hai
rang badan kaa tab dekho jab cholii bhiige pasiine me;N
dil nah ;Ta;Tole;N kaash kih us kaa sardi-e mihr to :zaahir hai
paave;N us ko garm mabaadaa yaar hamaare kiine me;N