ghazal |
us bistar afsurdah ke gul ;xvushbuu hai;N murjhaa))e hanuuz
us nak'hat se mausam-e gul me;N phuul nahii;N yaa;N aa))e hanuuz
us zulf-o-kaakul ko guu;Ndhe der hu))ii mashshaa:tah ko
saa;Np se lahraate hii hai;N par baal us ke bal khaa))e hanuuz
aa;Nkh lage ik muddat gu;zrii paa-e ((ishq jo biich me;N hai
milte hai;N ma((shuuq
agar to milte hai;N sharmaa))e hanuuz
tah-daarii kyaa kahye apnii sa;xtii se us kii jiite muu))e
;harf-o-su;xan kuchh lekin hargiz mu;Nh pah nahii;N ham laa))e hanuuz
aisii ma((iishat kar logo;N se jaisii ;Gam-kash miir ne kii
barso;N hu))e hai;N
u;Th ga))e un ko rote hai;N ham-saa))e hanuuz