#
First verse of the ghazal
Notes
 
 

5 == dīvān-e panjum == d

{1601}
us se nah ulfat ho mujh ko to hove nah merā chahrah zard
hāth nah rakkhūñ kyūñ dil par maiñ ranj-o-balā se qiyāmat dard

3 v; M01; on v.3 see {398,7}
{1602}
kahte ho tum kih yaksar mujh meñ vafā hai shāyad
matrūk rasm-e jaur-o-z̤ulm-o-jafā hai shāyad

5 v; M4
{1603}
rakhtā hai dil kinār meñ ṣad-pārah dardmand
har pārah us kā pāte haiñ āvārah dardmand

7 v; M5; on v.3 see {344,5}
{1604}
hai ʿishq kā fasānah merā nah yāñ zabāñ-zad
har shahr meñ huʾī hai yih dāstāñ zabāñ-zad

5 v; M4
{1605}
kyā kahye huʾe mamlakat-e hastī meñ vārid
be-yār-o-diyār ab to haiñ is bastī meñ vārid

2 v; M7
{1606}
kuchh tadbīr batāʾo ham ko dil apnā hai dard-ālūd
ḳhāk uṛāte kahāñ tak phirye chahrah sab hai gard-ālūd

1 v; M01
 
5 == dīvān-e panjum == r

{1607}
apne muʾe bhī ranj-o-balā hai hamsāyoñ kī jānoñ par
kyā kyā sīnah-zanī rahtī hai dard-o-ġham ke afsānoñ par

10 v; M01
{1608}
kaʾī dāġh aise jalāʾe jigar par
kih ve nargisī-zan the gulhā-e tar par

14 v; M22; on v.2 see {1206,9}
{1609}
bharosā asīrī meñ thā bāl-o-par par
so parvā huʾe nah qafas ke bhī dar par

10 v; M22; on v.7 see {1746,8}
{1610}
ʿishq-e judāʾī ḳharāb hai aisā jis se gaʾe haiñ ghar ke ghar
kaʿbah-o-dair ke aivānoñ ke gire paṛe haiñ dar ke dar

7 v; M01; on v.2 see {930,4}
{1611}
bāt kaho kyā chupke chupke baiṭh raho ho yāñ ā kar
aise gūñge baiṭho ho tum to baiṭhiye apne ghar jā kar
7 v; M01; on v.4 see {1437,4}
{1612}
teṛhī nigāheñ kyā karte ho dam bhar ke yāñ āne par
īdhar dekho ham ne nahīñ kī ḳham abrū mar jāne par

7 v; M01
{1613}
rozoñ meñ rah sakeñge ham be-sharāb kyūñ-kar
gużregā ittiqā meñ ʿahd-e shabāb kyūñ-kar

9 v; M4; on v.7 see {1714,6}
{1614}
taṛphe hai ġham-zadah dil lāvegā tāb kyūñ-kar
ḳhūñ-bastah heñgī āñkheñ āvegī ḳhvāb kyūñ-kar

9 v; M4
{1615}
lāve jhamakte ruḳh kī āʾīnah tāb kyūñ-kar
ho chahrah us ke lab se yāqūt-e nāb kyūñ-kar

8 v; M4
{1616}
sunā tum ne jo gużrā sānaḥah hijrāñ meñ yāroñ par
qiyāmat ġham se har sāʿat rahī ulfat ke māroñ par

7 v; M20; on v.2 see {40,3}
{1617}
ik ādh din nikal mat ay abr udhar se ho kar
baiṭhā hūñ maiñ abhī ṭuk sārā jahāñ ḍubo kar

9 v; M4
{1618}
ʿishq hamārā ḳhūn kare hai jī nahīñ rahtā yār baġhair
vuh ghar se nahīñ apne nikaltā dam bhar bhī talvār baġhair

5 v; M01
{1619}
ḳhandah bajāʾe giryah-o-andoh-o-āh kar
mātam-kade ko dahr ke tū ʿaish-gāh kar

7 v; M5
*{1620}
shorīdah-sar rakhā hai jab se us āstāñ par
merā dimāġh tab se hai haftam āsmāñ par

7 v; M4; 1, 3, 7
{1621}
āyā nah phir udhar vuh mast-e sharāb ho kar
kyā phūl mar gaʾe haiñ us bin ḳharāb ho kar

5 v; M4
{1622}
abr-e siyah qible se uṭh kar āyā hai mai-ḳhāne par
bādah-kashoñ kā jharmaṭ hai kuchh shīshe par paimāne par

5 v; M01
{1623}
saʿī se us kī huʾā māʾil garebāñ chāk par
āfirīñ kar ai junūñ mere kaf-e chālāk par

4 v; M10
 
5 == dīvān-e panjum == z

*{1624}
us bistar afsurdah ke gul ḳhvushbū haiñ murjhāʾe hanūz
us nak'hat se mausam-e gul meñ phūl nahīñ yāñ āʾe hanūz

5 v; M01; 1, 3, 5
{1625}
kab se gayā hai āyā nahīñ nāmah-bar hanūz
rāhī bhī kuchh sunā nahīñ jāte ḳhabar hanūz

7 v; M5


 

-- urdu script -- devanagari -- diacritics -- plain roman -- more information --