ghazal |
kyaa jhamkaa faanuus me;N apnaa dikhlaatii hai duur se sham((a
vuh mu;Nh ;Tuk uudhar nahii;N kartaa daa;G hai us ke ;Guruur se sham((a
vuh bai;Thaa hai jaise nikle chaudhavii;N raat kaa chaa;Nd kahii;N
raushan hai kyaa hogii :taraf us :tar;h ru;x-e pur-nuur se sham((a
aage us ke furo;G nah thaa jaltii thii bujhii sii majlis me;N
tab to log u;Thaa lete the shitaabii us ke ;hu.zuur se sham((a
jalne ko aatii hai;N jo satyaa;N miir sa;Nbhal kar jaltii hai;N
kyaa be-.sarfah raat jalii be-bahrah apne shu((uur se sham((a