ghazal |
kyaa kahye myaa;N ab kii junuu;N me;N siinah apnaa yak-sar daa;G
haath gulo;N se gul-daste hai;N sham((a nama:t hai sar par daa;G
daa;G jalaa))e falak ne badan par sarv-e chiraa;Gaa;N ham ko kiyaa
kahaa;N kahaa;N ab marham rakkhe;N
jism hu))aa hai saraasar daa;G
.su;hbat dar-giir aate us ke pahar gha;Rii saa((at nah hu))ii
jab aa))e hai;N ghar se us ke tab aa))e hai;N ak;sar daa;G
;Gair ko dekh ke us majlis me;N ;Gairat-e ((ishq se aag lagii
uchle kuude sipand nama:t ham ho ga))e aa;xir jal kar daa;G
jaltii chhaatii pah sang-zanii kii sa;xtii-e ayyaam se miir
garmii se merii aatish-e dil kii saare hu))e ve patthar daa;G