ghazal |
mihr-e qiyaamat chaahat aafat fitnah fasaad balaa hai ((ishq
((ishq all;aah .saiyaad unhe;N kahyo jin logo;N ne kiyaa hai ((ishq
((ishq se na:zm-e kul hai ya((nii ((ishq ko))ii naa:zim hai ;xuub
har shai yaa;N paidaa jo hu))ii hai mauzuu;N kar laayaa hai ((ishq
((ishq hai baa:tin us :zaahir kaa :zaahir baa:tin ((ishq hai sab
uudhar ((ishq hai ((aalam-e baalaa iidhar ko dunyaa hai ((ishq
daa))ir saa))ir hai yih jahaa;N me;N jahaa;N tahaa;N muta.sarrif hai
((ishq kahii;N hai dil me;N pinhaa;N aur kahii;N paidaa hai ((ishq
mauj-zanii hai miir falak tak har lujjah hai :tuufaa;N-zaa
sar taa sar hai talaa:tum jis kaa vuh a((:zam daryaa hai ((ishq