ghazal |
;haakim shahr-e ;husn ke :zaalim kyuu;N-kih sitam-iijaad nahii;N
;xuun kisuu kaa ko))ii kare vaa;N daad nahii;N faryaad nahii;N
yaarii hamaarii yak-baarii ;xaa:tir se faraamosh un ne kii
;zikr hamaaraa us se kiyaa so kahne lagaa kuchh yaad nahii;N
kyaa kyaa mardum ;xvush :zaahir hai;N ((aalam-e ;husn me;N naam-e ;xudaa
((aalam-e ((ishq ;xaraabah hai vaa;N ko))ii ghar aabaad nahii;N
((ishq ko))ii ham-dard kahii;N muddat me;N paidaa kartaa hai
koh rahe;N go naalaa;N barso;N lekin ab farhaad nahii;N
la;Rnaa kaavaakii se falak kaa pesh-e paa uftaadah hai
miir :tilism-e ;Gubaar jo yih hai kuchh us kii bunyaad nahii;N