ghazal |
((ahd-e junuu;N hai mausam gul kaa aur shiguufah laayaa hai
abr-e bahaarii vaadii se u;Th kar aabaadii par aayaa hai
barso;N ham darvesh rahe hai;N parde me;N dunyaa-daarii ke
naamuus us kii kyuu;N-ke rahe
yih pardah jin ne u;Thaayaa hai
;Dhuu;N;D nikaalaa thaa jo use so aap ko bhii ham kho bai;The
jaisaa nihaal lagaayaa ham ne vaisaa hii phal paayaa hai
miir-e ;Gariib se kyaa ho mu((aari.z goshe me;N us vaadii ke
ek diyaa saa bujhtaa un ne daa;G-e jigar pah jalaayaa hai