#
First verse of the ghazal
Notes
 
{726}
kyā kaheñ kuchh kahā nahīñ jātā
ab to chup bhī rahā nahīñ jātā
5 v; M12
{727}
kajī us kī jo maiñ jatāne lagā
mujhe sīdhiyāñ vuh sunāne lagā

7 v; M23
{728}
allâh re ġhurūr-o-nāz terā
mut̤laq nahīñ ham se sāz terā

5 v; M8
*{729}
āñsū mirī āñkhoñ meñ har dam jo nah ā jātā
to kām mirā achchhā parde meñ chalā jātā

10 v; M6; 4; on v.5 see G{86,2}
{730}
bā al-qūh ṭuk dikhāʾiye chashm-e pur-āb kā
dāman pakaṛ ke roʾiye yak dam saḥāb kā

12 v; M5; on v.4 see {471,7}
*{731}
ḳhandah-e dandāñ-numā kartā jo vuh kāfir gayā
gauhar-e tar jūñ sirishk āñkhoñ se sab kī gir gayā

7 v; M10; 4
{732}
us bad-zabāñ ne ṣarf-e suḳhan āh kab kiyā
chupke hī chupke un ne hameñ jāñ bah lab kiyā

10 v; M5; on v.6 see {517,9}
*{733}
ab chhātī ke jalne ne kuchh t̤aur badal ḍālā
sab dard ho shiddat kā us dil hī ko dal ḍālā

5 v; M6; 2
*{734}
t̤ūfān mere rone se āḳhir ko ho rahā
yūnāñ kī t̤arḥ bastī yih sab maiñ ḍubo rahā

7 v; M5; 7
{735}
laʿl par kab dil mirā māʾil huʾā
us lab-e ḳhāmosh kā qāʾil huʾā
5 v; M11; on v.4 see {1076,7}
*{736}
koʾī faqīr yih ai kāsh-ke duʿā kartā
kih mujh ko us kī galī kā ḳhudā gadā kartā

15 v; M25; 1, 3, 8, 14
{737}
bañdhā rāt āñsū kā kuchh tār sā
huʾā abr-e raḥmat gunah-gār sā

12 v; M23
*{738}
ḥairāñ hai laḥz̤ah laḥz̤ah t̤arz-e ʿajab ʿajab kā
jo taftah-e muḥabbat vāqif hai us ke ḍhab kā

7 v; M4; 6
{739}
saiñkaṛoñ bekasoñ kā jān gayā
par yih terā nah imtiḥān gayā

9 v; M12
*{740}
hangām-e sharḥ-e ġham-e jigar ḳhāmah shaq huʾā
soz-e darūñ se nāmah kabāb-e varaq huʾā

7 v; M5; 3
*{741}
kal maiñ kahā vuh t̤ūr kā shuʿlah kahāñ girā
dil ne jigar kī or ishārat kī yāñ girā

7 v; M5; 2
{742}
āte hī āte tere yih nā-kām ho chukā
vāñ kām hī rahā tujhe yāñ kām ho chukā

5 v; M5
*{743}
sunbul tumhāre gesūʾoñ ke ġham meñ laṭ gayā
abrū kī teġh dekh mah-e ʿīd kaṭ gayā

10 v; M5; 2
{744}
sīne meñ shauq mīr ke sab dard ho gayā
dil par rakhā thā hāth so muñh zard ho gayā

5 v; M5
*{745}
kyā to namūd kis kī kaisā kamāl terā
ai naqsh-e vahm āyā kīdhar ḳhayāl terā

9 v; M4; 1, 4, 6, 7
{746}
furo ātā nahīñ sar nāz se ab ke amīroñ kā
agarchih āsmāñ tak shor jāve ham faqīroñ kā

7 v; M20
{747}
huʾīñ rusvāʾiyāñ jis ke liye chhūṭā diyār apnā
huʾā vuh be-muruvvat be-vafā hargiz nah yār apnā

11 v; M20; on v.2 see {724,2}
*{748}
rabt̤-e dil zulf se us kī jo nah chaspāñ hotā
us qadar ḥāl hamārā nah pareshāñ hotā

9 v; M13; 2
{749}
jis pah us mauj sī shamshīr kā ik vār kiyā
kām us shauq ke ḍūbe huʾe kā pār kiyā

9 v; M13; on v.9 see {121,7}
{750}
shab-e raftah maiñ us ke dar par gayā
sag-e yār ādam-garī kar gayā
5 v; M23; on v.1 see {471,3}
 

-- urdu script -- devanagari -- diacritics -- plain roman -- more information --