laraztaa hai miraa dil za;hmat-e mihr-e
dara;xshaa;N par
mai;N huu;N vuh qa:trah-e shabnam kih ho ;xaar-e bayaabaa;N par
nah chho;Rii ;ha.zrat-e yuusuf ne yaa;N
bhii ;xaanah-aaraa))ii
safedii diidah-e ya((quub kii phirtii hai zindaa;N par
fanaa-ta((liim-e dars-e be-;xvudii huu;N
us zamaane se
kih majnuu;N laam alif likhtaa thaa diivaar-e dabistaa;N par
faraa;Gat kis qadar rahtii mujhe tashviish-e
marham se
baham gar .sul;h karte paarah'haa-e dil namak-daa;N par
nahii;N iqliim-e ulfat me;N ko))ii :tuumaar-e
naaz aisaa
kih pusht-e chashm se jis ke nah hove muhr ((unvaa;N par
mujhe ab dekh kar abr-e shafaq-aaluudah
yaad aayaa
kih furqat me;N tirii aatish barastii thii gulistaa;N par
bah juz parvaaz-e shauq-e naaz kyaa
baaqii rahaa hogaa
qiyaamat ik havaa-e tund hai ;xaak-e shahiidaa;N par
nah la;R naa.si;h se ;Gaalib kyaa hu))aa
gar us ne shiddat kii
hamaaraa bhii to aa;xir zor chaltaa hai
garebaa;N par
dil-e ;xuunii;N-jigar be-.sabr-o-fai.z-e ((ishq musta;Gnii
il;aahii yak-qiyaamat ;xaavar aa ;Tuu;Te bada;xshaa;N par