laazim thaa kih dekho miraa rastaa ko))ii
din aur
tanhaa gaye kyuu;N ab raho tanhaa ko))ii din aur
mi;T jaa))egaa sar gar tiraa patthar
nah ghisegaa
huu;N dar pah tire naa.siyah-farsaa ko))ii din aur
aaye ho kal aur aaj hii kahte ho kih
jaa))uu;N
maanaa kih hameshah nahii;N achchhaa ko))ii din aur
jaate hu))e kahte ho qiyaamat ko mile;Nge
kyaa ;xuub qiyaamat kaa hai goyaa ko))ii din aur
haa;N ai falak-e piir javaa;N thaa abhii
((aarif
kyaa teraa biga;Rtaa jo nah martaa ko))ii din aur
tum maah-e shab-e chaar-daham the mire
ghar ke
phir kyuu;N nah rahaa ghar kaa vuh naqshaa ko))ii din aur
tum kaun-se the aise khare daad-o-sitad
ke
kartaa malak ul-maut taqaa.zaa ko))ii din aur
mujh se tumhe;N nafrat sahii naiyar
se la;Raa))ii
bachcho;N kaa bhii dekhaa nah tamaashaa ko))ii din aur
guzrii nah bah har ;haal yih muddat ;xvush-o-naa-;xvush
karnaa thaa javaa;N-marg guzaaraa ko))ii din aur
naadaa;N ho jo kahte ho kih kyuu;N jiite
hai;N ;Gaalib
qismat me;N hai marne kii tamannaa ko))ii din aur