za;xm par chhi;Rke;N kahaa;N :tiflaan-e
be-parvaa namak
kyaa mazah hotaa agar patthar me;N bhii hotaa namak
gard-e raah-e yaar hai saamaan-e naaz-e
za;xm-e dil
varnah hotaa hai jahaa;N me;N kis qadar paidaa namak
mujh ko arzaanii rahe tujh ko mubaarak
huujiyo
naalah-e bulbul kaa dard aur ;xandah-e gul kaa namak
shor-e jaulaa;N thaa kinaar-e ba;hr
par kis kaa kih aaj
gard-e saa;hil hai bah za;xm-e maujah-e daryaa namak
daad detaa hai mire za;xm-e jigar kii
vaah vaah
yaad kartaa hai mujhe dekhe hai vuh jis jaa namak
chho;R kar jaanaa tan-e majruu;h-e ((aashiq
;haif hai
dil :talab kartaa hai za;xm aur maa;Nge hai;N a((.zaa namak
;Gair kii minnat nah khe;Nchuu;Ngaa
pa))e taufiir-e dard
za;xm mi;sl-e ;xandah-e qaatil hai sar-taa-paa namak
yaad hai;N ;Gaalib tujhe vuh din kih
vajd-e ;zauq me;N
za;xm se girtaa to mai;N palko;N se chuntaa thaa namak
us ((amal me;N ((aish kii la;z;zat nahii;N miltii asad
zor nisbat mai se rakhtaa hai na.saaraa kaa namak