aah ko chaahiye ik ((umr a;sar hote
tak
kaun jiitaa hai tirii zulf ke sar hote tak
daam-e har mauj me;N hai ;halqah-e .sad
kaam-e nihang
dekhe;N kyaa guzre hai qa:tre pah guhar hote tak
((aashiqii .sabr-:talab aur tamannaa
betaab
dil kaa kyaa rang karuu;N ;xuun-e jigar hote tak
ham ne maanaa kih ta;Gaaful nah karoge
lekin
;xaak ho jaa))e;Nge ham tum ko ;xabar hote tak
partav-e ;xvur se hai shabnam ko fanaa
kii ta((liim
mai;N bhii huu;N ek ((inaayat kii na:zar hote tak
yak na:zar besh nahii;N fur.sat-e hastii
;Gaafil
garmii-e bazm hai ik raq.s-e sharar hote tak
;Gam-e hastii kaa asad kis se ho juz
marg ((ilaaj
sham((a har rang me;N jaltii hai sa;har hote tak
taa qiyaamat shab-e furqat me;N guzar jaa))egii ((umr
saat din ham pah bhii bhaarii hai;N sa;har hote tak