vuh firaaq aur vuh vi.saal
kahaa;N
vuh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaa;N
fur.sat-e kaar-o-baar-e shauq
kise
;zauq-e na:z:zaarah-e jamaal kahaa;N
dil to dil vuh dimaa;G bhii
nah rahaa
shor-e saudaa-e ;xa:t:t-o-;xaal kahaa;N
thii vuh ik sha;x.s ke
ta.savvur se
ab vuh ra((naa))ii-e ;xayaal kahaa;N
aisaa aasaa;N nahii;N lahuu
ronaa
dil me;N :taaqat jigar me;N ;haal kahaa;N
ham se chhuu;Taa
qimaar-;xaanah-e ((ishq
vaa;N jo jaave;N girih me;N maal kahaa;N
fikr-e dunyaa me;N sar
khapaataa huu;N
mai;N kahaa;N aur yih vabaal kahaa;N
mu.zma;hil ho ga))e quv;aa
;Gaalib
vuh ((anaa.sir me;N i((tidaal kahaa;N
bose me;N vuh mu.zaa))iqah
nah kare
par mujhe :taaqat-e savaal kahaa;N
falak-e siflah be-mu;haabaa hai
us sitam-gar ko infi((aal kahaa;N