jahaa;N teraa naqsh-e qadam dekhte hai;N
;xiyaabaa;N ;xiyaabaa;N iram dekhte hai;N
dil-aashuftagaa;N ;xaal-e kunj-e dahan
ke
suvaidaa me;N sair-e ((adam dekhte hai;N
tire sarv-e qaamat se yak qadd-e aadam
qiyaamat ke fitne ko kam dekhte hai;N
tamaashaa kih ai ma;hv-e aa))iinah-daarii
tujhe kis tamannaa se ham dekhte hai;N
suraa;G-e taf-e naalah le daa;G-e dil
se
kih shab-rau kaa naqsh-e qadam dekhte hai;N
banaa kar faqiiro;N kaa ham bhes ;Gaalib
tamaashaa-e ahl-e karam dekhte hai;N
kisuu ko z-;xvud rastah kam dekhte hai;N
kih aahuu ko paa-band-e ram dekhte hai;N
;xa:t-e la;xt-e dil yak-qalam dekhte hai;N
mizhah ko javaahir-raqam dekhte hai;N