dīvānagī se dosh pah zunnār bhī
nahīñ
yaʿnī hamāre jeb meñ ik tār bhī nahīñ
dil ko niyāz-e ḥasrat-e dīdār kar
chuke
dekhā to ham meñ t̤āqat-e dīdār bhī nahīñ
milnā tirā agar nahīñ āsāñ to
sahl hai
dushvār to yihī hai kih dushvār bhī nahīñ
be-ʿishq ʿumr kaṭ nahīñ saktī
hai aur yāñ
t̤āqat bah qadr-e lażżat-e āzār bhī nahīñ
shorīdagī ke hāth se hai sar vabāl-e
dosh
ṣaḥrā meñ ai ḳhudā koʾī dīvār bhī nahīñ
gunjāʾish-e ʿadāvat-e aġhyār yak
t̤araf
yāñ dil meñ ẓuʿf se havas-e yār bhī nahīñ
ḍar nālah'hā-e zār se mere ḳhudā
ko mān
āḳhir navā-e murġh-e giriftār bhī nahīñ
dil meñ hai yār kī ṣaf-e mizhgāñ
se rū-kashī
ḥālāñkih t̤āqat-e ḳhalish-e ḳhār bhī nahīñ
is sādagī pah kaun nah mar jāʾe
ai ḳhudā
laṛte haiñ aur hāth meñ talvār bhī nahīñ
dekhā asad ko ḳhalvat-o-jalvat meñ
bār-hā
dīvānah gar nahīñ hai to hushyār bhī nahīñ